|
AZAADI MUBARAQ
HO
Aaj bhi bhookhe so rahe hain bacche
Aaj bhi har taraf katleaam hai mache
Aaj bhi insaan mehfoos nahin
Koi baat nahin
Phir bhi tum kaho...
Azaadi Mubarak ho!
Aaj bhi beti maut ke saaye mein saanse hai leti
Aaj bhi beheno ka balaatkaar hota hai
Aaj bhi aurat mehfoos nahin
Koi baat nahin
Phir bhi tum kaho...
Azaadi Mubarak ho!
Aaj bhi Hindu, Hindu hai
Aaj bhi Musalmaan, Musalmaan hai
Aaj bhi koi Insaan nahin
Koi baat nahin
Phir bhi tum kaho...
Azaadi Mubarak ho! ~Akansha~
|